SHAYARI 4U
HIT SHAYARISHUST 4U




Naaraz hona aapse galti kehlayegi,Agar aap humse naraz ho to yeh saanse tham jayengi... Hanste rehna hamesha yu hi,Aapki hansi se kisi ki zindagi me bahaar aayegi.



Kabhi zarurat pade to sabse pehle hume awaaz dena,Agar koi shaq ho to aazma lena.... Zindagi tumhare liye chod denge,Maut hamare liye chod dena



Waqt ke saath halaat badal jaate hain,Apno tak ke khayalaat badal jaate hain... Jab bura waqt aata hai pyare,Khud apne hi jazbaat badal jaate hain.


Duniya ki daulat dabaye rakhna,Husan ki bagiya chupaye rakhna..... Kahi kisi ki nazar na lag gaye,Thoda sa kajal lagaye rakhna



Apna dil apni tabahi ka sabak hota hai,Yeh jawani ka zamana bhi ajab hota hai.. Kaun si baat ne kis sakhs ka dil tod diya,Bolne wale ko aehsaas bhi kab hota hai..



Dil jale ka dil kaun todta hai,Kisi murde ko zinda kaun karta hai... Hai dil me agar pyar kisi ka,To woh dil le kaun sakta hai.



Inkar woh karte hain ikrar ke liye,Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye... Ulti chaal chalte hain ishq karne wale,Aankhein band karte hain didar ke liye..



Kabhi to sab jaane pehchane lagte hain,Kabhi to apne bhi begane lagte hain... Woh hume chod gaye to ehsaas hua,Kabhi kabhi kisi ko samjhne me zamane lagte hain...




Ilzam lagane walon ne ilzam lagaye lakh magar teri saugat samjhkar hum dil se lagaye baithe hain.



Bichde hue saathi ro-ro kar na saza de,Dua karna Khuda se phir se mila de... Bojh judai ka uthaya nahi jaata,Dushwar hoga jeena markar kaise bhula de.



Mit gaye hain sab zakham,Bas nishaan baaki reh gaya.... Saza puri ho gayi,Karna gunaah baaki reh gaya.



Tamanna hai ki unko najdik se dekhein,Najdik ho to nazar uthayi nahi jaati... Yeh ishq ki ag hi aisi hai,Lag jaati hai lagayi nahi jaati.....



Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte, lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte



Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai..


THANX 4UR VISIT
MANY MORE STUFFS COMING SOON
 
There are no links entered, that have already sent visitors to this website!

You want your link here?
Just register here:
=> To the registration
me aakhri shab ka bujhta sitaara
 
me aakhri shab ka bujhta sitaara
naa mili chandni mujhe naa din kaa ujaala

log kehte hai ki bada muqaddar hai mera
naa chalan mera naa laqiro‘n kaa sahara

us tak pahunch jaaoo to kuchh pyaas bujhe meri
verna naa koii manzil meri naa koii mera kinara

is tarah se jo likhi taqdeer mere khuda ne meri
rooh meri jalti hai is kadarr phir bhi log kahen bujhta sitara
Wo samne aye to nazro ko jhuka longa
 
Wo samne aye to nazro ko jhuka longa
DekhoNga nahi phir b tasweer bana longa

Aana ho to aa jao ruswayee nahi hogi
Dekhe ga nahi koi, palkon main chupa longa.
MUNNA BHAI
 
Munna Bhai: Teray ko maaloom hai k cigarette ek tarah say slow poison ka kaam karta hai.

Patient : Toh mujhay konsa marnay ki jaldi hai.
MUNNA BHAI
 
Munna: Bolay to Apun ko tera operation dobara karna paray ga. Kyun k apun kay rubber k gloves teray andar hi reh gaye hain.

Patient: Agar yeh baat hai to mujhay jaanay do. Mien tumharay gloves ki payment kar doon ga.
 
Today, there have been 15 visitors (25 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free