SHAYRIS JUST 4 U
SHAYARIS JUST 4U



Wada to ker lete hain Nibhana bhool jate hain 
Lagaaa kar aaag seene main Bujhana bhool jate hain 

kehte hai aayenge hume milne ko  pal do pal

milna toe chahte hai vo par aana bhool jate hai


 

Jo Dard mujhe teri Mohabbat ne diya hai, 
Woh mere liye saare zamaane se bada hai, 
Palkon pe sitare se laraz uthte hai fauren, 
Bhoole se bhi jab humne tera naam liya hai. 

 

dekh kar ankhon ka haal 
sanam na manlo ke kitna soye hai. 
puchlo chand aur suraj 
se ke raat din kitna roye hai? 

 

Fana ke bad bhi mujhko sata raha hai koi, 
Nishane kabre ka mita raha hai koi, 
Ye khuda thodi si jindgi de de mujhe, 
Udas mere janaje se ja raha hai koi. 

Kaha se lauu woh shabd, 
Jo teri tarif ke kabil ho. 
Kaha se lauu woh chand, 
Jisme teri khoobsurti samil ho. 
Aye mere bewafa sanam ek baar bata de, 
Kaha se lauu woh kismat, 
Jisme tu bas mujhe hasil ho. 

Tumse Milne ki koshishain to laakh kee maine, 
Nahi mil paayenge maine kabhi socha hi nahi, 
Hoke itne kareeb yaar hum na mil paaye, 
Shaayad hum mil saken aisa mera naseeb hi nahi.

Agar dhundo to lakh mil jayenge, 
par mujh jaisa wo kya chahenge,
dekhenge tumhe hasrato se kayi, 
par aankhen wo hamari kanha se layenge. 

Tarasta raha main umer sari 
parde bina tuje 
aaj saans hi na rahi jab 
tu ne parda hata diya. 

Ruth gya hai mujhko manane waala 
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala 
Per jaane kya sonchta hai 
Yeh khula darwaaza 
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala. 

Kya zamaana tha, 
ke hum roz mila karte thay, 
Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, 
Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, 
Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay
MANY MORE STUFFS COMING SOON
 
There are no links entered, that have already sent visitors to this website!

You want your link here?
Just register here:
=> To the registration
me aakhri shab ka bujhta sitaara
 
me aakhri shab ka bujhta sitaara
naa mili chandni mujhe naa din kaa ujaala

log kehte hai ki bada muqaddar hai mera
naa chalan mera naa laqiro‘n kaa sahara

us tak pahunch jaaoo to kuchh pyaas bujhe meri
verna naa koii manzil meri naa koii mera kinara

is tarah se jo likhi taqdeer mere khuda ne meri
rooh meri jalti hai is kadarr phir bhi log kahen bujhta sitara
Wo samne aye to nazro ko jhuka longa
 
Wo samne aye to nazro ko jhuka longa
DekhoNga nahi phir b tasweer bana longa

Aana ho to aa jao ruswayee nahi hogi
Dekhe ga nahi koi, palkon main chupa longa.
MUNNA BHAI
 
Munna Bhai: Teray ko maaloom hai k cigarette ek tarah say slow poison ka kaam karta hai.

Patient : Toh mujhay konsa marnay ki jaldi hai.
MUNNA BHAI
 
Munna: Bolay to Apun ko tera operation dobara karna paray ga. Kyun k apun kay rubber k gloves teray andar hi reh gaye hain.

Patient: Agar yeh baat hai to mujhay jaanay do. Mien tumharay gloves ki payment kar doon ga.
 
Today, there have been 12 visitors (18 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free